aap, aap ke mobile ki security ke liye hamesha alert rahte hai. PC ya kisi aur divice se mobile ko connect karte hai to hamesha darte hai, ki kahi virus na aajae aur mobile ki security ke liye koi bhi antivirus install kar lete hai. Kai tarah ke antivirus play store par mojud hai.
aap – 360 security, DU speed booster, CM security, clean
master, AVG antivirus, Dr.web, NQ jaise antivirus download kar lete
hai.inki rating hoti hai – 4.5, 4.8, aur downloads millions me hoti hai aur
aapko lagta yah 1 best antivirus hai aapke android mobile kai liye.
Install karne kai baad hota kuch nahi hai, aur
dinbhar ki notification hoti hai itne thread pakad liye, itna data delete kar
diya, itna data (net) bacha liya. Install kiya nahi aur scanning start. Hame
lagta hai ab hamara phone ab safe hai.
Yah sirf bekar ka kachra hai, koi antivirus nahi hai. Yah
aapke phone ko safe to nahi karta lekin aap ke phone ko nuksaan pahucha sakta
hai.
Darsal android OS adharit hai linux version, ise kisi antivirus ki jarurat nahi
hai.
Agar aap in tips ko follow karte hai to hamsha kai liye aap kai phone ko safe
kar sakte hai.
Step -1 Sabse pahle aap ne jo bhi koi antivirus app install kiya hai, chahe wo aapne kharida hi kyo na ho use delete kar de, yah aapke phone ki safety kai liye sabse bada kadam hoga.
Step -2 sirf Google play store, Amazon store jaise achhe apps store se hi app download kare yaha mojud apps safe hote hai.
3 Step -3 Aapke mobile ki setting me security option me aap unknown source
ko hamsha off rakhe, kabhi aapko on karne ki jarurat pade bhi to kaam khatm
hone kai baad ise off karde.
Setting – security –
unknown source
Step -4 Agar aap kisi website par jate hai to kai baar ek popup
page aajata hai – your phone minded rishk, your phone very slow, clean virus,
clean now, download now kai baar to aapke mobile ka modal no. bhi diya hota hai
aap ise ignore kare, yah sorf advertise hai, ise par bhul kar bhi click na
kare. Wah sirf aap ko dara raha hai ki aapke phone ma virus hai.
Step -5 Agar aap ne koi malware download kar bhi liya hai to wo
jab tak aap ke phone ko nuksaan nahi pahucha sakta hai jab tak ki aap use
install na karle, agar download ho bhi gaya hai to uspe delete kar de.
Step -6 Agar aap ne mobile ko root kiya hai to aap use administer mode me chala rahe hai, koi bhi app install karne par rishk bad jata hai, aap kai mobile ko nuksaan ho sakta hai.
Step -7 Agar aap ne koi app download kiya hai to app settings me
permission me jakar check kar wo kya-kya permission access kar raha hai. Jaise
aap ne torch app download kiya hai to use sirf camera or aapke mobile ki led
light ko access karna hai, agar wo koi jaise contact, files access kar raha hai
to ho sakta hai wo aapke deta ka miss use kare
Step -8 Hamesha aapke android phone ko latest update karte rahe,
koi bhi kachra antivirus bhul kar bhi install na kare
Agar aap in baato ka
follow karnge to aap ke phone ko kabhi kisi antivirus ki jarurat nhi padegi.
agar aap ko isme koi
problam ho, ya koi jankari chahiye to comment box me type kare
1 टिप्पणियाँ:
Click here for टिप्पणियाँYou may think there’s no harm in sharing a photo and nothing bad will come of it. Always think before you post. There could be anything in the background a rouge letter or E-mail containing personal information could easily find its way into your Instagram post Video Intercom systems Melbourme
ConversionConversion EmoticonEmoticon